kali kali mein nihan hichkichahaten pahchan tu shakh-e-gul pe gul-e-nau ki aahaten pahchan lahu ki aankh se padh mere zabt ki tahrir labon pe lafz na gin kapkapahaten pahchan main pankhudi ki tarah apne hont wa kar dun tu titliyon ki tarah gungunahaten pahchan mahaz khol diya hai to gahri nind na so hawa ke bhes mein hain sansanahaten pahchan ye jhute nag hain magar husn se tarashe hain tu jauhari hai agar jagmagahaten pahchan wo kala sanp hai tujh ko nazar na aaega tu jhadiyon mein chhupi sarsarahaten pahchan 'nazir' log to chehre badalte rahte hain tu itna sada na ban muskurahaten pahchan