kaliyan jahan udas hon gul mein phaban na ho ya-rab kahin bhi aisi bahaar-e-chaman na ho hote nahin hain marka-e-ishq sar kabhi dil mein agar junun na ho sar par kafan na ho ek din zarur aaegi phir rut bahaar ki khush meri bebasi pe ai charkh-e-kuhan na ho shahr-e-sitamgaran hai ye mumkin nahin yahan ahl-e-wafa se zinat-e-dar-o-rasan na ho kaise wo qaum hogi bhala kaamyab aaj din-dar jis ka dil na ho dil mein lagan na ho be faiz har libas hai ai dukhtaran-e-qaum pairahan-e-haya hi agar zeb-e-tan na ho bazm-e-tarab sajaiye ya gham ki anjuman pamal bas riwayat-e-gang-o-jaman na ho is nasl-e-nau se kaise ho ummid-e-behtari jis ka amal na khub ho behtar chalan na ho afkar ki udan mein aa jati hai kami qaem agar tasalsul-e-mashq-e-sukhan na ho 'ahsan' na hona gardish-e-haalat se udas hai kaun jis ki zist mein ranj-o-mehan na ho