kam-bakht dil bura hua teri aah aah ka husn-e-nigah bhi na raha gah gah ka chhedo na mithi nind mein ai munkar-o-nakir sone do bhai main thaka-manda hun rah ka mere muqallidon ko meri rah-e-shauq mein har gam par nishan mila sajda-gah ka dil sa gawah hashr mein aa kar phisal gaya ab rahm par muamla hai dad-khwah ka kis munh se kah rahe ho hamein kuchh gharaz nahin kis munh se tum ne wada kiya tha nibah ka dil lene wali baat isi dil se pochhiye malik yahi hai mere safed o siyah ka pesh-e-khuda chalo to maza jab hai ai 'hafiz' nara ho lab pe ashhado-an-la-ilah ka