kal zarur aaoge lekin aaj kya karun badh raha hai qalb ka ikhtilaj kya karun kya karun koi nahin ehtiyaj dost ko aur mujh ko dost ki ehtiyaj kya karun ab wo fikrmand hain kah diya tabib ne ishq hai junun nahin main ilaj kya karun ghairat-e-raqib ka shikwa kar rahe ho tum is muamle mein sakht hai mizaj kya karun ma-siwa-e-ashiqi aur kuchh kiya bhi ho sujhta hi kuchh nahin kaam-kaj kya karun mahw-e-kar-e-den hun main boriya-nashin hun main rahzan nahin hun main takht-o-taj kya karun zor aur zar baghair ishq kya karun 'hafiz' chal gaya hai mulk mein ye riwaj kya karun