kam bhi the agar fan ke KHaridar bahut the

kam bhi the agar fan ke kharidar bahut the
bikne par utar aate to bazar bahut the

phir bhi na khuli aankh to kya kijiye warna
ahbab ke jhatke hamein do-chaar bahut the

din nikla bahattar ke siwa koi nahin tha
kal raat to sar dene ko tayyar bahut the

lagne na diya jauhar-e-zati ko kabhi zang
tute hue aaine the khuddar bahut the

ek hausla tha jis ne rakha hum ko salamat
haalat wahan warna dil-azar bahut the

kirdar ka shahkar wahan koi nahin tha
mahfil mein teri ghazi-e-guftar bahut the

ai 'khizr' kahan 'ghaalib' o 'natiq' kahan hum tum
dariya the wo aise jo guhar-bar bahut the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close