kiya ishq-e-majazi ne haqiqat aashna mujhko

kiya ishq-e-majazi ne haqiqat aashna mujh ko
buton ne zulm wo dhaya ki yaad aaya khuda mujh ko

dua jab dil ne ki kar de khuda be-muddaa mujh ko
dua-e-be-asar ne hath utha kar di dua mujh ko

na rakhna tha kahin ka bhi na rakkha zauq-e-hasti ne
tamasha karna tha aakhir tamasha kar diya mujh ko

na mujh se kaam duniya ko na mere kaam ki duniya
dil-e-nakaam tu ne rakkha ye kis kaam ka mujh ko

bahut karta hai waiz guftugu jannat ki dozakh ki
kahan pahunchata hai dekhun to ye pahuncha hua mujh ko

azab-e-zindagi aakhir azab-e-akhirat nikla
hazaron bar mar-mar ke yahan jina pada mujh ko

faza himmat-shikan hai 'khizr' to dil hausla-afza
bataenge kahan tak ahl-e-fan bhi rasta mujh ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close