kam na hogi ye sargirani kya yun hi guzregi zindagani kya ashk pahle kahan nikalte the ho gai aag pani pani kya sare kirdar ek hi saf mein khatm hone ko hai kahani kya aaine mein hai phir wahi surat yun hi hoti hai tarjumani kya rabt kitna hai do kinaron mein koi dariya hai darmiyani kya muskurahat pe hairati ki girah aur khulne lage maani kya