phulon ki chand taron ki mahfil fareb hai rangin haqiqaton mein bhi shamil fareb hai pani ke madd-o-jazr ko samjha hai zindagi maujen bhi hain fareb jo sahil fareb hai rangini-e-hayat ka aalam na puchhiye har aarzu fareb hai har dil fareb hai mahsus dil mein dard sa hone laga hai kyun kya pyar ki nazar mein bhi shamil fareb hai bas ruk gaya to ruk gaya ulfat ki rah mein manzil na kar qubul ki manzil fareb hai un ki nigah-e-lutf hai 'arif' ki zindagi kya gham agar hayat mein shamil fareb hai