kam na thi sahra se kuchh bhi khana-virani meri main nikal aaya kahan ai wae nadani meri kya banaun main kisi ko rahbar-e-mulk-e-adam ai khizr ye sar-zamin hai jaani-pahchani meri jaan o dil par jitne sadme hain isi ke dam se hain zindagi hai fil-haqiqat dushman-e-jaani meri ibtida-e-ishq-e-gesu mein na thin ye uljhanen badhte badhte badh gai aakhir pareshani meri dasht-e-hasti mein rawan hun muddaa kuchh bhi nahin kab hui mohtaj-e-laila qais-samani meri aur tu waqif nahin koi dayar-e-ishq mein hai junun shaida mera wahshat hai diwani meri bagh-e-duniya mein yunhi ro hans ke katun chaar din zindagi hai shabnam o gul ki tarah fani meri baad-e-tark-e-arzu baitha hun kaisa mutmain ho gai aasan har ek mushkil ba-asani meri han khuda-lagti zara kah de tu ai husn-e-sanam aashiqi auron ki achchhi ya ki hairani meri lakht-e-dil khane ko hai khun-e-jigar pine ko hai mezban-e-dahr ne ki khub mehmani meri naghma-zan sahra mein ho jis tarah koi andalib yun hai ai 'mahrum' sarhad mein ghazal-khwani meri