wo to mil kar bhi nahin milti hai jaane kis dhun mein raha karti hai chum leti hai mera matha jab ek khushbu si baras padti hai soch leta hun use dam bhar ko aur ye ruh mahak uthti hai main jise kah na sakunga hargiz aaj wo baat mujhe kahni hai log kahte hain mohabbat jis ko sar-phiri bigdi hui ladki hai apni duniya ke masail mein wo apni zulfon ki tarah uljhi hai main nadi nind ki aur wo mujh mein khwab machhli ki tarah rahti hai