kam se kam apna bharam to nahin khoya hota dil ko rona tha to tanhai mein roya hota subh se subh talak jagte hi umr kati ek shab hi sahi bhar nind to soya hota dhundhna tha mere dil ko to kabhi palkon se mere ashkon ke samundar ko biloya hota dekhna tha ki nazar chubhti hai kaise to kabhi is ke paikar mein nigahon ko gudoya hota jab yaqin us ko na pane ka hua to jaana yahi behtar tha ki pa kar use khoya hota na mila koi bhi gham bantne wala warna apna bojh apne hi kandhon pe na dhoya hota us ko puja na kabhi jis ko tarasha 'azar' nam is tarah to apna na duboya hota