khayal ki tarah chup ho sada hue hote kam-az-kam apni hi aawaz-e-pa hue hote taras raha hun tumhaari zaban se sunne ko ki tum kabhi mera harf-e-wafa hue hote ajib kaifiyat-e-be-dili hai donon taraf ki mil ke soch rahe hain juda hue hote bahut aziz sahi hum ko apni khud-dari maza to jab tha ki teri ana hue hote ye aarzu rahi apni jo umr bhar ke liye teri zaban pe rahe wo maza hue hote sumum ki tarah jine se faeda kiya hai kisi ke waste baad-e-saba hue hote hamesha mail-e-husn-e-butan rahe 'azar' kabhi to qail-e-husn-e-khuda hue hote