kam-tar ya beshtar gae hum us dar se ba-chashm-e-nam gae hum ek gul na chuna hum us chaman se le apna hi musht-e-par gae hum baize se nikalte hi sar haif yun qaid-e-qafas mein pad gae hum bin yar laga na dil kidhar bhi jitna ki idhar udhar gae hum kya dur se muskura ke sarka kal us ki nazar jo pad gae hum duniya ka wa din ka hum ko kya hosh mast aae wa be-khabar gae hum us jaan-e-aziz ne na puchha jite hain ya ki mar gae hum kuchh kaam na tha hamein kisi se lene dil ki khabar gae hum itni muddat ke baad 'hasrat' kal raat jo us ke ghar gae hum