kam-zarf bhi hai pi ke bahakta bhi bahut hai bharta bhi nahin aur chhalakta bhi bahut hai allah ki marzi ka to sakhti se hai paband hakim ki raza ho to lachakta bhi bahut hai kotah-qadi kahti hai khatte hain ye angur lekin gah-o-be-gah lapakta bhi bahut hai parwa hai na kuchh tal ki ne sur ki khabar hai par saz pe duniya ke matakta bhi bahut hai shoridgi badhti hai dar-e-laili-e-zar par diwar pe ye sar ko patakta bhi bahut hai mahfil mein to suniye hawas-e-jah pe taqrir pahlu mein yahi khar khatakta bhi bahut hai 'baqar' jo bhatakta hai maani ke safar mein ho surat-e-zeba to atakta bhi bahut hai