shadi o alam sab se hasil hai subukdoshi sau hosh mere sadqe tujh par meri be-hoshi gum hone ko pa jaana kahte hain mohabbat mein aur yaad ka rakkha hai yan nam faramoshi kal ghair ke dhoke mein wo id mile hum se kholi bhi to dushman ne taqdir-e-ham-aghoshi wo qulqul-e-mina mein charche meri tauba ke aur shisha-o-saghar ki mai-khane mein sargoshi hum ranj bhi pane par mamnun hi hote hain hum se to nahin mumkin ehsan-faramoshi hosh aata hai phir mujh ko phir hosh mujhe aaya dena nigah-e-saqi ek saghar-e-be-hoshi kal arsa-e-mahshar mein jab aib khulen mere rahmat teri phaila de daman-e-khata-poshi milte hi nazar tujh se mastana hua 'bedam' saqi teri aankhen hain ya saghar-e-be-hoshi