kamal-e-be-khabari ko khabar samajhte hain teri nigah ko jo mo'tabar samajhte hain farogh-e-tur ki yun to hazar tawilen hum ek charagh-e-sar-e-rahguzar samajhte hain lab-e-nigar ko zahmat na do khuda ke liye hum ahl-e-shauq zaban-e-nazar samajhte hain janab-e-shaikh samajhte hain khub rindon ko janab-e-shaikh ko hum bhi magar samajhte hain wo khak samjhenge raaz-e-gul-o-saman 'taban' jo rang-o-bu ko fareb-e-nazar samajhte hain