ranj aur ranj bhi tanhai ka

ranj aur ranj bhi tanhai ka
waqt pahuncha meri ruswai ka

umr shayad na kare aaj wafa
katna hai shab-e-tanhai ka

tum ne kyun wasl mein pahlu badla
kis ko dawa hai shakebai ka

ek din rah pe ja pahunche hum
shauq tha baadiya-paimai ka

us se nadan hi ban kar miliye
kuchh ijara nahin danai ka

sat pardon mein nahin thaharti aankh
hausla kya hai tamashai ka

darmiyan pa-e-nazar hai jab tak
hum ko dawa nahin binai ka

kuchh to hai qadr tamashai ki
hai jo ye shauq khud-arai ka

us ko chhoda to hai lekin ai dil
mujh ko dar hai teri khud-rai ka

bazm-e-dushman mein na ji se utra
puchhna kya teri zebai ka

yahi anjam tha ai fasl-e-khizan
gul o bulbul ki shanasai ka

madad ai jazba-e-taufiq ki yan
ho chuka kaam tawanai ka

mohtasib uzr bahut hain lekin
izn hum ko nahin goyai ka

honge 'haali' se bahut aawara
ghar abhi dur hai ruswai ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close