kamal-e-husn hai husn-e-kamal se bahar azal ka rang hai jaise misal se bahar to phir wo kaun hai jo mawara hai har shai se nahin hai kuchh bhi yahan gar khayal se bahar ye kaenat sarapa jawab hai jis ka wo ek sawal hai phir bhi sawal se bahar hai yaad ahl-e-watan yun ki reg-e-sahil par giri hui koi machhli ho jal se bahar ajib silsila-e-rang hai tamanna bhi had-e-uruj se aage zawal hai bahar na us ka ant hai koi na istiara hai ye dastan hai hijr-o-visal se bahar dua buzurgon ki rakhti hai zakhm ulfat ko kisi ilaj kisi indimal se bahar bayan ho kis tarah wo kaifiyat ki hai 'amjad' meri talab se farawan majal se bahar