kya mera iKHtiyar zaman-o-makan par

kya mera ikhtiyar zaman-o-makan par
pahre bitha diye hain kisi shai ne dhan par

tujh se bichhad ke ghar ki taraf lautte hue
kyun bastiyon ka wahm hua har chatan par

hasrat rahi ki surat-e-ab-e-rawan chalen
kab se misal-e-sang pade hain dhalan par

thi jin ki dastaras mein hawa pa-ba-gil hue
ai musht-e-khak zoam kahan ka udan par

han aarzu to dil mein kabhi se hai zakhm ki
kya apna ikhtiyar kisi ki kaman par

dhalne lagi hai sham mere khak-dan ki khair
shoala-fishan hui hai shafaq aasman par

'shahid' tamam umr phira dar-ba-dar magar
dastak na de saka kabhi apne makan par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close