kamal-e-husn ka jab bhi khayal aaya hai misal-e-sher tera nam dil pe utra hai main apne aap ko dekhun to kis tarah dekhun ki mere gird meri zat hi ka parda hai main falsafi na payambar ki rah batlaun har ek shakhs mujhi se sawal karta hai ye sach hai main bhi taghayyur ki zad se bach na saka sawal ye hai ki tu bhi to kitna badla hai tere khulus ki chadar simat gai shayad mera wajud mujhe ajnabi sa lagta hai abhi to haalat-e-dil ka sudhaar hai mushkil abhi to teri judai ka zakhm taza hai 'aziz' apne tazadat hi mita dalo ye kaun puchh raha hai zamana kaisa hai