ab kaun si mata-e-safar dil ke pas hai ek raushani-e-subh thi wo bhi udas hai ek ek karke fash hue ja rahe hain raaz shayad ye kaenat qarin-e-qayas hai samjha gai ye talkhi-e-paiham firaq ki ek muzhda-e-visal mein kitni mithas hai har chiz aa rahi hai nazar apne rup mein utra hua fareb-e-nazar ka libas hai ek gardish-e-dawam mein roz azal se hai wo chashm-e-ba-khabar ki jo mardum-shanas hai fitrat kahan thi apni 'tamannai' shabnami lekin kisi ki shoala-nigahi ka pas hai