kamal-e-ishq hai diwana ho gaya hun main ye kis ke hath se daman chhuda raha hun main tumhin to ho jise kahti hai nakhuda duniya bacha sako to bacha lo ki dubta hun main ye mere ishq ki majburiyan maaz-allah tumhaara raaz tumhin se chhupa raha hun main is ek hijab pe sau be-hijabiyan sadqe jahan se chahta hun tum ko dekhta hun main batane wale wahin par batate hain manzil hazar bar jahan se guzar chuka hun main kabhi ye zom ki tu mujh se chhup nahin sakta kabhi ye wahm ki khud bhi chhupa hua hun main mujhe sune na koi mast-e-baada-e-ishrat 'majaz' tute hue dil ki ek sada hun main