kamal-e-ishq mein jazb-o-asar ki baat na kar unhin ki rah mein kho ja khabar ki baat na kar teri talash mein manzil ki koi qaid nahin haram ki dair ki diwar-o-dar ki baat na kar kalim dekh chuke husn-e-yar ke jalwe ye un ka bakht hai zauq-e-nazar ki baat na kar mahak mahak uthin galiyan jo khul gae gesu riyaz-e-hazrat-e-khairul-bashar ki baat na kar shuur usi ka to arsh-e-barin ki zinat hai faqat rasai-e-pa-e-bashar ki baat na kar tulua-e-mah-e-arab se hain do-jahan raushan ziya-furozi-e-shams-o-qamar ki baat na kar chaman-badosh hai har zarra arz-e-taiba ka bahaar-e-gulshan-e-gulha-e-tar ki baat na kar bahaar-e-mushaf-e-natiq ke dekhne wale iram ki dahr ki barg-o-shajar ki baat na kar hamare ashk-e-nadamat ka koi mol kahan ye nazr-e-naqd hai lal-o-gohar ki baat na kar jahan mein chaar su phaila hua hai bughz-o-inad andheri raat mein nur-e-sahar ki baat na kar 'shafia' ummid hai bakhshaenge wahi mujh ko ba-juz ata-e-shah-e-bahr-o-bar ki baat na kar