mah-e-kaamil ne munh ki khai hai

mah-e-kaamil ne munh ki khai hai
aankh jab aap se milai hai

un ki zulf-e-siyah kya kahna
ek kali ghata hai chhai hai

aa gae aap jab tasawwur mein
zindagi zindagi ne pai hai

jitna chahen sataen dil mera
in buton ki abhi khudai hai

khush-nasibi hai maut ki la-raib
un ke aaghosh mein jo aai hai

jab bhi rakkhi bina nasheman ki
khak karne ko barq aai hai

un ke daman pe ashk-e-gham mere
azmat-e-be-panah pai hai

uth gae sab hijab nazron ke
mujh ko saqi ne wo pilai hai

koi batlae in buton ne kahin
rasm-e-ulfat kabhi nibhai hai

koi parwana jal gaya shayad
shama ki lau jo thar tharrai hai

wo pila de ai pir-e-mai-khana
khas kar chhan ke mai jo aai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close