kamal-e-jiddat-e-insan dikhai deta hai jise bhi dekhiye uryan dikhai deta hai ye dekhta hun ki sadkon pe bhid hai lekin kabhi kabhi koi insan dikhai deta hai abhi kuchh aur andhera kuchh aur sannata abhi to ai shab-e-hijran dikhai deta hai bahisht ko na chala jae mai-kade le jao kuchh aaj shaikh pareshan dikhai deta hai mujhe sadak se uthao na ai police walo yahan se kucha-e-jaanan dikhai deta hai