kamal-e-tark nahin aab-o-gil se mahjuri kamal-e-tark hai taskhir-e-khaki o nuri main aise faqr se ai ahl-e-halqa baz aaya tumhaara faqr hai be-daulati o ranjuri na faqr ke liye mauzun na saltanat ke liye wo qaum jis ne ganwai mata-e-taimuri sune na saqi-e-mehwash to aur bhi achchha ayyar-e-garmi-e-sohbat hai harf-e-mazuri hakim o aarif o sufi tamam mast-e-zahur kise khabar ki tajalli hai ain-e-masturi wo multafit hon to kunj-e-qafas bhi aazadi na hon to sehn-e-chaman bhi maqam-e-majburi bura na man zara aazma ke dekh ise farang dil ki kharabi khirad ki mamuri