sanam ke khayalon mein yun kho gaya hun ki main ek patthar ka but ho gaya hun nahin dho saka dagh jo ganga-jal bhi use apne ashkon se main dho gaya hun bajae shajar ugte hain sirf patthar main zarkhez dharti mein kya bo gaya hun nahin aanch aaegi apni ana par bulaya tha us ne tabhi to gaya hun karoge mujhe dafn to yun lagega ki main man ki godi mein hi so gaya hun waza-dari ka pas tha jo chaman mein main kaliyon ka sar chumne ko gaya hun mujhe fakhr hai 'panchhi' bazm-e-sukhan mein gaya hun ba-surat ghazal-go gaya hun