kamal ye hai ki duniya ko kuchh pata na lage ho iltija bhi kuchh aisi ki iltija na lage purani baaten hain ab un ka zikr bhi chhodo agar kisi ko sunaun to ek fasana lage wo ek lamha tha jis ne kiya mujhe bismil main dastan bataun to ek zamana lage base hain jalwe kuchh aise nigah-e-ashiq mein jise bhi dekhe koi tujh se ma-siwa na lage na jaane kaun si manzil pe ishq aa pahuncha dua bhi kaam na aae koi dawa na lage fareb rah ke bhi mahrumiyan muqaddar thin nazar uthaun to us ko kahin bura na lage ye kaenat ki sachchai ab kahan dhundun suhani raat ka manzar ho aur suhana lage main dur baitha tha sahra mein ek umid liye ise bataun to ye sach bhi ek bahana lage bana liya hai ek aaina apne dil ko 'shahid' mujhe to shahr mein ab koi bewafa na lage