kaman chhod gae be-nazir jitne the lage hain thik nishane pe tir jitne the fasad rokne kam-zarf log pahunche hain gharon mein rah gae raushan zamir jitne the unhen jala diya sanjidgi ke suraj ne hamare ahd ke bachche sharir jitne the thakan utar rahe the nae safar ke liye safar se aae hue rahgir jitne the mere bayan pe ehsas ho gae zakhmi agar bache hain to bas be-zamir jitne the badi lakir barabar mein khinch aaya tha mile hain hum se bhi chhoti lakir jitne the qadam hi ruk gae 'akmal' bas ek fire par farar ho gae hote asir jitne the