tujhe kis tarah chhudaun khalish-e-gham-e-nihan se dil-e-be-qarar laun unhen dhundh kar kahan se wo bahaar kash aae wo chale hawa-e-dil-kash ki qafas pe phul barsen meri shakh-e-ashiyan se kabhi qafile se aage kabhi qafile se pichhe na main karwan mein shamil na juda hun karwan se mere baad ki bahaaren meri yaadgar hongi ki khilenge phul akasr meri khak-e-raegan se abhi muskura rahi thin meri aarzu ki kaliyan mujhe le chala muqaddar su-e-dam aashiyan se jo jabin mein tha amanat mera shauq-e-jubba-sai wo lipat ke rah gaya hai tere sang-e-astan se mili lamha-bhar bhi fursat na 'faza'-e-gham-zada ko wo baras rahe hain fitne shab-o-roz aasman se