kamar kaso to masafat ki aabru rakhna jo chal pado to na manzil ki aarzu rakhna bikhar raha hai sabhi kuchh agarche duniya mein hayat-e-nau ki magar phir bhi justuju rakhna jahan mein log faqat zindagi nibhate hain bada kamal hai jine ko khub-ru rakhna agar nigah-o-nazar mein ho rahmat-e-mutlaq jhukae sar mere maula ke ru-ba-ru rakhna wazahaton ke liye bar bar jaana ho isi khayal se mubham si guftugu rakhna khizan ke baad chaman mein bahaar aane par rawish-rawish wahi afsana-e-numu rakhna sawal zist ka dushwar hai bahut 'adil' ki aarzu nahin rakhna ya aarzu rakhna