masrufiyat mein aaj bhi guzra tamam din

masrufiyat mein aaj bhi guzra tamam din
rahna pada hujum mein tanha tamam din

kahne ko ek bhid si maujud thi wahan
lekin tha sath bas mera saya tamam din

tark-e-wafa ke baad pasheman si wo nazar
bhula tamam raat na bhula tamam din

milne ka tum ne aaj kaha tha mujhe magar
suraj to aaj bhi nahin nikla tamam din

wo ja raha tha dhalte hue sae ki tarah
chaha to main ne tha ki wo rahta tamam din

thoda sa raushni ko andhera bhi chahiye
dekho sitara koi na chamka tamam din

'adil' main raat bhar to pareshan raha magar
raushan hue darichon mein ghuma tamam din


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close