kanar-e-ab tere pairahan badalne ka meri nigah mein manzar hai sham dhalne ka ye kaisi aag hai mujh mein ki ek muddat se tamasha dekh raha hun main apne jalne ka suna hai ghar pe mera muntazir nahin koi so ab ke bar main hargiz nahin sambhalne ka khud apni zat pe markuz ho gaya hun main ki hausla hi nahin tere sath chalne ka ab aa gae ho to phir umr bhar yahin thahro badan se koi bhi rasta nahin nikalne ka 'salim' sham-e-wajud aa gai hai bujhne par bas intizar karo mom ke pighalne ka