kanar-e-barg-e-tabassum larazta qatra hai zamin ki kokh mein lawa pighalta rahta hai sulag rahi hain dil-o-jaan ki kaenaten aur labon ki ot mein shoala chhupae rakkha hai habab si kisi saat mein tujh se milne ko kai yugon ka mujhe intizar karna hai tere firaq mein badle hain aise kaun-o-makan udas raat mein ek dopahar bhi zinda hai zaban pe shorish-e-harf-e-shikayat-e-jaanan inayaton ka tah-e-dil mein shor barpa hai ufuq ke baam bhi hain dam-ba-khud teri khatir teri talash mein bikhra hua ye sahra hai ulajh rahi hai abas mauj-e-khun sahil se har ek harf-e-tamanna sada-ba-sahra hai dubo ke aa gaya main apni har sada lekin mere wajud mein ye kis ki chikh zinda hai