wusat-e-chashm ko andoh-e-basarat likhkha main ne ek wasl ko ek hijr ki haalat likhkha main ne parwaz likhi hadd-e-falak se aage aur be-baal-o-pari ko bhi nihayat likhkha main ne khushbu ko likha dastaras-e-gum-shudagi rang ko fasla rakhne ki riayat likkha husn-e-goyai ko likhna tha likhi sargoshi shor likhna tha so aazar-e-samaat likhkha main ne tabir ko tahrir mein aane na diya khwab likhte hue mohtaj-e-bashaarat likhkha koi aasan rifaqat nahin likkhi main ne qurb ko jab bhi likha jazb-e-raqabat likhkha itne daon se guzar kar ye khayal aata hai 'azm' kya tum ne kabhi harf-e-nadamat likhkha