kandhon se zindagi ko utarne nahin diya us maut ne kabhi mujhe marne nahin diya puchha tha aaj mere tabassum ne ek sawal koi jawab dida-e-tar ne nahin diya tujh tak main apne aap se ho kar guzar gaya rasta jo teri rah guzarne nahin diya kitna ajib mera bikharna hai dosto main ne kabhi jo khud ko bikharne nahin diya hai imtihan kaun sa sahra-e-zindagi ab tak jo tere khak-basar ne nahin diya yaro 'amir' imam bhi ek aaftab tha par us ko tirgi ne ubharne nahin diya