ai khuda tu hi mujhe chahne wala dena ek fankar hun shohrat ke ujale dena chup rahun logon ki dushnam-taraazi par main bakhshna nutq mujhe zabt ke tale dena a jahan walo suno waqt ka suqraat hai wo ab zaruri hai use zahr ke pyale dena bhejna nuri parindon ko jahan mein yarab dur kar dena andhere ko ujale dena chand tahrik humayun, nahin chhapte ab to a mudiran-e-adab achchhe risale dena kya naya sher-o-adab kya hai classici ghazal bahs mein 'ram' ke sheron ke hawale dena