kankar kah na patthar kah gauhar hai to gauhar kah pichhe ghibat hoti hai jo kahna hai munh par kah patthar dhone wale ko kaenat ka mehwar kah chikhe qaumi yak-jehti haq par ho jo haq par kah lahja qatil thahrega kadwi baat ko hans kar kah mustaqbil ki fikr bhi rakh haal ka haal bhi khul kar kah bhadak uthen jis se jazbaat aisi baat na 'paikar' kah