khwabon ki anjuman mein ujala na ho saka chaha tha phir bhi aaj sawera na ho saka ehsas ki ragon se tapakta raha lahu hum ko kisi se pyar dobara na ho saka aansu mere mizaj ka hissa to ban gae jhukna kisi bhi taur gawara na ho saka main sham-e-intizar farozan kiye rahi chahat ka us taraf se ishaara na ho saka marne ki aarzu mein shab-o-roz jal-bujhe 'nusrat' ka zindagi se kinara na ho saka