kante hain kahin aag kahin sang kahin hai ye rah-e-mohabbat hai kuchh aasan nahin hai tu pas agar hai to har ek chiz hasin hai sahra bhi nigahon mein meri khuld-e-barin hai ta-umr nibhane ki qasam khai thi tu ne wo ahd-e-mohabbat bhi tujhe yaad nahin hai ho jae fana zat-e-khuda mein jo koi zat kya dhundte ho us ko makan hai na makin hai ai husn-e-haqiqat tu kabhi jalwa dikha de sajdon ki amanat liye betab jabin hai wo chahe to qadmon mein zamane ke jhukawe kahne ko tere dar ka gada khak-nashin hai ehsas-e-gham-e-duri hua hi nahin mujh ko mahsus hua jab se ki tu dil ke qarin hai bikhra hua maikhane ka shiraaza hai kab se saqi hai kahin mai hai kahin jam kahin hai hain jalwe nigahon mein meri kaun-o-makan ke chhup jae koi mujh se ye mumkin hi nahin hai kya nazr karun gardish-e-dauran ko 'zamir' aaj jine ki tamanna bhi mere pas nahin hai