mohabbat karne walon ko mohabbat aazmati hai

mohabbat karne walon ko mohabbat aazmati hai
kisi ki aan jati hai kisi ki jaan jati hai

takhayyul ki gul-afshani ghazal ka nam pati hai
kisi ki yaad se zakhmon ki duniya muskuraati hai

wufur-e-gham se sham-e-zindagani thartharaati hai
mohabbat ki har ek dhadkan wafa ko aazmati hai

kisi ke aariz-o-lab ki mili hai raushni jab se
bahaar-e-zindagi ranginiyon mein dub jati hai

mere bazu pe zulfon ki bhari barsat hoti thi
wo saat yaad aati hai wo saat yaad aati hai

wo rang-o-nur ki mahfil bahaaron ki wo ranai
mohabbat ke wafa-parwar fasanon ko sunati hai

kisi ki yaad mein gum ho gai hai raushni dil ki
jo gahe-gahe rah-e-ashk-e-gham ko jagmagati hai

tumhaari zulf ka saya jo mil jae to ruk jaun
thaka-manda hua hun dhup gham ki chilchilati hai

'zamir' anjam-e-ulfat par laraz jata hai dil aksar
hansi aati hai jis dam aankh meri dabdabaati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close