kar-e-afzaish-e-anwar-e-sahar kis ne kiya sirf aafaq mera rakht-e-safar kis ne kiya be-hunar tujh se mera ijz-e-hunar puchhta hai mujh ko matub sar-e-shahr-e-hunar kis ne kiya dahr-e-fani mein faqat ahl-e-qanaat ke siwa zindagi tujh ko bahar-haal basar kis ne kiya ai mere jazb-e-ana teri baqa ki khatir apni takmil se is taur hazar kis ne kiya tu ki ek zarra-e-nachiz tha ai husn-maab tujh ko ham-paya-e-khurshid-o-qamar kis ne kiya aaj bhi dang hai raftar-e-zamana is par ek pal mein kai qarnon ka safar kis ne kiya sochta hun faqat is daur ke insan ke liye hasrat-o-yas ke mausam ko amar kis ne kiya mahw-e-hairat hai tahayyur bhi jahan par 'tabish' aise be-ab-o-giyah dasht ko ghar kis ne kiya