kar-e-hasti khar-o-gul ke darmiyan banta gaya bijliyan girti gain aur aashiyan banta gaya ashk-e-khun bahne ka chehre par nishan banta gaya main mujassam dard-o-gham ki dastan banta gaya aah-o-girya na-munasib zabt fitrat ke khilaf dard mere waste ek imtihan banta gaya har qadam ubhra kiye naqsh-e-kaf-e-pa-e-jamal gul pe gul khilte gae aur gulsitan banta gaya waqt ne gulchin ke hathon qismat-e-gul saunp di yani har baghi chaman ka baghban banta gaya sach to ye hai inqilabaat-e-zamana ke tufail ek ek rahzan amir-e-karwan banta gaya sab mujhe kahte hain khosha-chin-e-gulzar-e-'zabih' 'nur' unhin ke faiz se rangin-bayan banta gaya