zabt-e-gham ka payam are tauba aur mere dil ke nam are tauba zahid aur mai ka jam are tauba un se ye nek kaam are tauba hashr-saman hai hashr-manzar hai teri mashq-e-khiram are tauba aashiqon ki namaz ai zahid su-e-bait-ul-haram are tauba main wafa ki umid rakhta hun tujh se o fitna-kaam are tauba pad gae hae jaan ke lale ishq ka intiqam are tauba 'arzu' chhod kar dar-e-jaanan tauf-e-bait-ul-haram are tauba