kar-e-junun ki chaaragar kuchh tujhe aagahi nahin

kar-e-junun ki chaaragar kuchh tujhe aagahi nahin
daman-e-tar-tar mein kar-e-rafu-gari nahin

naz-o-niyaz mein kahan aalam-e-sarmadi nahin
husn bhi aarzi nahin ishq bhi aarzi nahin

teri talash mein mujhe aur talash hi nahin
tere siwa koi mera maqsad-e-zindagi nahin

jis se surur dil mein hai jis se ghurur sar mein ho
aalam-e-bekasi mein wo daulat-e-zindagi nahin

shan-e-waqar-o-jah agar bas ki nahin to kya hua
ijz se kaam lijiye is mein to aajizi nahin

aish ki sarkhushi wabaal bazm-e-tarab ka rag rog
mahfil-e-soz-o-saz mein naghma-e-zindagi nahin

nam hi nam rah gaya aap ki bazm-e-naz ka
ab koi is ko kya kahe chand hai chandni nahin

sar pe khadi hai sham-e-gham bujh gae aql ke charagh
tirgi-e-hayat mein ab koi raushni nahin

ghuncha-o-gul fasurda hain sari faza khamosh hai
khatir-e-gham-nawaz se zist mein tazgi nahin

seri-e-zauq-e-did ko ab wo maqam chahiye
aalam-e-hosh hai jahan aalam-e-be-khudi nahin

apni rawish se mutmain 'khushtar'-e-khush-khiram hai
apnon se ghairiyat nahin ghair se dushmani nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close