kis barte par armanon ki basti phailai jati hai phaili hui duniya kya jaanen kis din mangwai jati hai jo khun-e-jigar mein aata hai bah jata hai wo aankhon se hum roz kamae jate hain aur roz kamai jati hai bardasht ki had se bahar hai har-chand musibat ulfat ki hum is ko uthae jate hain jab tak ye uthai jati hai aashiq ki tabiat khel nahin phatkar hai kya gham-khwaron par kis ko bahlae jate hain ye kya bahlai jati hai kya baad-e-fana 'khushtar' hai rakha matam to jite ji ka tha ab hum uthwae jate hain ab saf uthwai jati hai