kar-gar ishq mein ab tak gham-e-pinhan na hua main abhi be-khabar-e-kulfat-e-hijran na hua mana-e-dasht-nawardi mujhe zindan na hua dar-o-diwar se kuchh hosh ka saman na hua bagh mein baad-e-saba bhejne wale har subh hum asiran-e-qafas par kabhi ehsan na hua nigah-e-naz hai aur ahl-e-hawas ke dil mein hae wo tir jo paiwast-e-rag-e-jaan na hua dasht-e-ghurbat mein pareshan nahin dil tang nahin abhi diwana tera qabil-e-zindan na hua hum ne dekha hai wo andaz-e-junun bhi jo kabhi chaak-dil chaak-jigar chaak-gareban na hua rang ko hasrat-e-parwaz abhi baqi hai aalam-e-nikhat-exbarbaad-e-gulistan na hua dar se uthta hai ek nara-e-mastana hanuz hae wo dard jo sharminda-e-darman na hua han bujha de dil-e-sozan ko magar tu jaane bazm-e-hasti mein jo ye sokhta-saman na hua khubiyan tujh mein hain ai ishq zamane bhar ki ye to kuchh dawa-e-hamtai-e-khuban na hua husn-e-gulzar se dil chaak hua jata hai josh-e-gul chaaragar-e-tangi-e-daman na hua sarhaden jalwa-gah-e-naz se jis ki na milen wo to ek khel hua chaak-e-gareban na hua kahti hai wasl ki shab wo nigah-e-khwab-alud khatm abhi qissa-e-betabi-e-hijran na hua aaj tak subh-e-azal se wahi sannata hai ishq ka ghar kabhi sharminda-e-mehman na hua zindagi kya wo tere gham se jo dil-tang nahin kya wo shiraaza-e-hasti jo pareshan na hua ahl-e-zindan ka ye majma hai subut is ka 'firaq' ki bikhar kar bhi ye shiraaza pareshan na hua