hai abhi mahtab baqi aur baqi hai sharab aur baqi mere tere darmiyan sadha hisab dil mein yun bedar hote hain khayalat-e-ghazal aankhen malte jis tarah utthe koi mast-e-shabab gesu-e-khamdar mein ashaar-e-tar ki thandaken aatish-e-rukhsar mein qalb-e-tapan ka iltihab ek aalam par nahin rahti hain kaifiyyat-e-ishq gah registan bhi dariya gah dariya bhi sarab kaun rakh sakta hai is ko sakin-o-jamid ki zist inqilab-o-inqilab-o-inqilab-o-inqilab dhundiye kyon istiara aur tashbih-o-misal husn to wo hai bataen jis ko husn-e-la-jawab ai 'firaq' uthti hain hairat ki nigahen ba-adab us ke dil ki khalwaton mein ho raha hun baryab