kar ke dil ko shikar aankhon mein ghar kare hai tu yar aankhon mein chashm-e-bad dur ho nazar na kahin hai nipat hi bahaar aankhon mein aur sab chehra-baziyon ke siwa ishwa hai sad-hazar aankhon mein kya kahun kuchh kahi nahin jati baaten hain be-shumar aankhon mein jis ghadi ghurte ho ghussa se nikle padta hai pyar aankhon mein tir-e-mizhgan dilon ke par hue hai ye guzar o guzar aankhon mein yar tere liye ye gauhar-e-ashk the bara-e-nisar aankhon mein ashk-e-khunin ke ye nahin qatre ye rahe hain sharar aankhon mein dekhna tuk 'asar' se nazren mila kya hue the qarar aankhon mein