main wo aatish-e-nafas hun aag abhi khirman-e-barq mein laga dunga rutho mujh se na wo bala hun main roni surat ko bhi hansa dunga tu uthae jo khanjar-e-pur-kham gardan apni wahin jhuka dunga aah se arsh ko hila dunga kungar-e-charkh ko jhuka dunga na chalo mujh se tum raqibon chaal ungliyon par tumhein nacha dunga waqt rone ke aah-e-sozan se daman-e-abr ko jala dunga aage mere na shekhi mar ai shaikh raat ka majra suna dunga aah ko meri be-asar na kaho main tamasha abhi dikha dunga tum jo har roz kahte ho mar-mar ek din mar ke bhi dikha dunga dusre ko jo doge dil mein bhi dil ke naqsh-e-wafa mita dunga shaikh chal to sharab-khane mein main tujhe aadmi bana dunga 'mashriqi' de agar wo jam-e-sharab dil se gham main abhi mita dunga